Waqt ne li kaisi ye karvat
li hai,
dabe paonv akar ye kisne hath thama hai.
Chehre par ye halki muskurahat kaise saj gayi hai,
Ye kaisa ehsaas hai, isse bekhabar main aaj bhi hun,
Shayad pehchan ne se bhi darti hun,
Raet ki tarah kahin hathon se na phisal jaye,
Iss baat se bhi gabrati hun.
Aaj ki iss anmol umeed ke liye,
Ishwar se isse sanjone ki dua karna chahti hun.
UmmeeD…..
By: Riddhi Singh
28 April 2012