Monday, 1 August 2011

zindagi

bahut koshish ki maine ki sambhal kar chalun,


sahare na lekar main khud se hi chalon,


hui khadi jab kadam badaya,


thokar hi khani padi hai,


jagah tumahari jab zindagi batati hai,


har achchyi bhi zeher si lagti hai.


ummeed ka daman chod ne ki bahut koshish kari, chot lagne par takleef bhi bahut sahi,


najane kahan se ye aas bandh jati hai, na chahte hue bhi ye mera daman nahi chodti hai,


himmat nahi hai muj main fir bhi ye kadam aage badh jate hain,


thokar khakar ladkhadate hain,


fir bhi na jane ye hausla kahan se ata hai,


bikharne k baad bhi ye samay chalata hai,


sahara milta nahi khud ka sahara banna padta hai,


zindagi ki iss reet se kabhi kabhi mann bhar jata hai.


by: Riddhi.

1 comment: