aaj zindgi ke ek aur pehlu se main wafif hui,
eshwar ki is rehmat ki main kayal hui,
diye aise mata pita unhone hume,
jo humare jeevan bitane ka adhaar bani.
sahi kya galt kay ye nahi bataya unhone,
pehachan kaise karni hai ye sikhaya hume,
uss samay jo laga bhashan vo hi aaj kaam aya humare,
zindagi main kahan haan aur naa karni hai ye samaj main aya hume.
bachche samaj kar har baat par nahi andekha kiya unhone,
pareshaniya apni baant kar humare saath humare haq ke ehsaas ko dikhaya unhone,
kabhi kabhi humare nanhe dimag main na samaj ati unki batein,
bade hokar samaj jaoge- ye kehkar maa has deti.
aaj jab akele is duniya main chalte hain.
hasi khel main ki gayi vo batein yaad ati hain,
mata pita ki vahi choti choti batein-
himmat aur ashirwad banke saath chalte,
har seekh main itni gehrai hai
ye dekh kar to main khud hairan hoti hoon.
taklefon ko jhalne ki himmat,
zindagi ko dekhne ka nazariya mujh main kahan se aya,
ye sab soch kar main hairan hoti hoon,
peeche mud kar dekhti hoon to maa aur bhagwan ji ki mehnat dikhayi deti hai,
khudse to kuch kiya nahi, unki mehnat ka phal kha rahi hoon.
love you maa, papa, pallak an bhagwanji, but i will always keep fighting, cribbing, asking.
lovely!
ReplyDeletesuperb .....!
ReplyDelete